file sharing ko banaye easy :- computer ke
bich me file share karne ke do tarike hai, aap wireless or wired internet
connection use kar sakte hai. iske liye dono computer aik hi network par hona
chahiye. aap windows computer par setting se file or print sharing enable kar
sakte hai or mak par sharing in system
preference me ja sakte hai. iske baad aap alag alag folder select karke unki
property open karke unhe network par
share kar sakte hai. network drives ke tehat connected sabhi computer par
shared folder nazar aayenge. http://www.alwaysync.com
Is website par
jakar allwaysync ka free version download ka sakte hai, is program ka interface
kaafi easy hai ye apke folder ko multiple computer par sink rakhta hai. Yeh
sirf windows par hi kaam karta hai.
Free software synergy http://www.synergyproject.org
Is website ka use
karke aap aik mouse or keyboard se multiple computer ko control kar sakte hai ,
yeh WINDOWS,MAK or LINKS par kaam karta hai. Apko har computer par software
install karna hoga,or jis computer par keyboard or mouse lage hai use server ke
taur par set karna hai . dusre computer client computer hoge. Aik baar saara
setup ho jane ke baad aap mouse ko sabhi screen par move karva sakte hai
.Synerg ka use karke aap aik computer se text copy karke dusre computer par
paste bhi kar sakte hai, yeh kaam easily ho jata hai.
APPLICATION FOR SINKED BROWSER :-
Agar aap Chrome, Opera ya Firefox use karte hai to aap aik free account
bana sakte hai ,is se aap aik hi browser ko multiple devices par use kar sakte
hai.apko bas yeh karna hai ki aik hi browser ko aik hi account ke sath sabhi
devices par use karna hai. Is se aap browser par koi bookmark karenge ya koi
password save karenge to yeh sabhi device par sink hi jayega. Agar apo sink
setting nazar nahi aaye to aap latest version check kare.
se aap sabhi browser ke latest version download ya update kar sakte hai.
Agar aap multiple device par alag alag browser use karte hai to aap
www.lastpass.com
ki help le sakte hai.
Last pass sabhi password multifactor authentication ke sath store rakhta hai.
Is se multiple device par software installs or use kar sakte hai.
STREAM AUDIO OR VIDEO ON MULTIPLE COMPUTER: -VLC media player or iske multitask features ka
use karke aap multiple computer tak easily audio or video stream kar sakte hai.
VLC me built in option hota hai jaha aap multiple files select kar sakte hai or
unhe aik network par stream karne ke liye set kar sakte hai. Yeh karne ke pehle
check karle ki apke pass vlc ka latest version hai ya nahi. Iske baad apko top
bar se media stream select karna padega. Destination menu me jis video file ko
aap stream karna chahte hai use select kare. Drop down se http select kare add
par click kare or port no 8080 input kare. Iske baad kisi dusre pc par jakar
media me open network stream par jaaye port no ke sath sath jo computer audio
or video stream kar raha hai uska ip address input kare. Yaad rakhe ki content
internet par stream kiya ja raha hai isliye content ki quality apke internet ki
speed par depend karegi.
Comments