Wo kehti hai, best romantic shayari

Wo kehti hai suno janu, mohobbat mom ka ghar hai, tapish is buri aag ki, kahi pighla na de isko.

mai kehta hu, k  jis dil me jara si buri aag ho, waha kuch aur ho to ho, par mohobbat ho nahi sakti.

wo kehti hai, kya sada aise hi tum mujhko chahoge, k mai isme kami bilkul gawara kar nahi sakti.
mai kehta hu, mohobbat kya hai, ye tumne sikhaya hai, mujhe tumse mohobbat ke siwa kuch bhi nhi aata.

wo kehti hai, judai se bohot darta hai mera dil, k  khud ko tumse dur dekhna, mumkin nhi hai ab.
mai kehta hu, k  yahi baat mujhe bohot satati hai, magar ye sach hai, mohobbat me judai sath chalti hai.

wo kehti hai, batao kya mere bina jee sakoge tum, meri baate, meri yade, meri ankhe, bhula doge.
mai kehta hu, kabhi is baat pe socha nahi maine, agar aik pal ko bhi socho to saase rukne lagti hai.

wo kehti hai, tumhe mujhse is qadar mohobat kyo hai, k mai aik aam si ladki hu, tumhe kyo khas lagti hu..
mai kehta hu, kabhi khud ko meri anko se tum dekho, meri diwangi kyo hai, ye khud hi jan jaogi.

wo kehti hai, k tum mujhe is pyar bhari baichaini se kyo dekhte ho, mai khud ko bohot kimti mehsus karti hu.
mai kehta hu, tum meri anmol mohobat ho, tumhe dekhta hu to zindagi mehsus karta hu.

wo kehti hai, mujhe alfaaz ke zugno nahi milte, tumhe bata saku k mere dil me kitni mohobat hai.
mai kehta hu. mohobat to nigaho se chalakti hai, tumhari khamoshi mujse, tumhari baat karti hai.

wo kehti hai, batao na kise khone se darte ho, batao kon hai wo, jise ye mousam bulate hai.
mai kehhta hu, ye meri shayri hai, aaina dil ka, zara dekho, batao, kya tumhe isme nazar aaya.

wo kehti hai, k kanhaiya jee, bohot baate banate ho, magar sach hai k, ye baate hi mujhe bohot khush rakhti hai.
mai kehta hu, ye sab baate, fasane to aik bahana hai, k kuch pal zindagi k tumhare sath batana hai. 

fir iske baad, khamoshi ka dilkash naach hota, nigahe bolti hai or lub khamosh rehte hai.. 


Comments