Apki Bhuk Kuch Kehti Hai ! Suniye or Samajhiye

Apki  Bhuk Kuch Kehti Hai ! Suniye or Samajhiye         
Asamanya bhuk motape or aahar sambandhi vikaro ko janam de sakti hai. Lekin asamanya bhuk kaise galat hai or is se kaise nibtajaye, yeh samajhne ke liye ye janne ki jarurat hai, ki aisi bhuk kyo or kaise lagti hai.

Scientific experiment se pata chala hai ki vastav me bhuk mind se hi start hoti hi or end bhi wahi par hoti hai, yani iska control center mind hai. Bhuk ki anubhuti mind ke sabse important part Hypothalamus se start hoti hai. Human body ke do main Harmon’s “Leptin” or “Ghrelin”  bhuk or trapti ke liye main responsible hote hai. “Leptin” hi wahi harmon hai jo apko trapt karta hai or khane se rokta hai. Jabki “Ghrelin” harmon bhuk ka indication deta hai or khane ke liye prerit karta hai. 

KAISE LAGTI HAI BHUK, SAMHJE ISKA TREATMENT
HYPOTHELEMUS ke control me jab Aamashay Bhuk ka harmon “GHRELIN” release karti hai to sabse pehle uska reaction LEVER me hoti hai. Bhuk ka aik aaveg karib 30 second tak rehta hai or yeh continue 30 se 45 minute tak hota rehta hai. Iske baad Bhuk 30 se 150 minute tak kam ho jati hai. Bhuk ki anubhuti kiye gaye Bhojan ke prakar par nirbhar karti hai or uske digest ke kuch hours baad start ho jati hai

BHOJAN ME MICRO ELEMENT KI KAMI
NATIONAL NUTRITION MONITORING BURO ka pichle 10 saal ka servay dikhata hai ki shakahari hone ke baawajud hum Indians me Calcium, Megnisium, Zinc, Flolet, vitaminB 6, B2, B12, D, or B jaise kai micro Nutritive element ki kami hai. Pratidin kharch hone wali energy par energy ki requirement nirbhar karti hai. Yeh hamari age, Body ka weight, work out level, par nirbhar karti hai. India me 70 se 80 %  calories  eatable items jaise daal, baajra, or kand milte hai. Child or young logo me har din kharch hone wali energy  ka 55 se 60 % bhaag carbohydrate se prapt kiya ja sakta hai. Fir bhi fit body ke liye kai chizo ki jarurat padti hai.

SAMJHE BODY KE ISHARE
Body ke sabhi part sahi tarike se kaam kare, calorie ka sahi metabolism ho or rog pratirodhak capacity majboot ho, iske liye 50 se jyada micro nutritive element jaruri hai. Jinme minerals or vitamins sabse important hai. Problem yeh hai ki hame pata hi nahi chalta ki body me kis nutritive element ki kami hai or uske liye kya measure karna chahiye. Body kisi na kisi roop me aise indication deta hai ki andar kya mistake hai ya kis element ki jarurat hai, lekin uski sahi pehchan normal person ke liye mushkil hai. Aise me niche diye gaye 5 pasandida khane ki bhuk ke symptoms apke liye helpful hoge.

“AGAR ICCHA HO CHOCLATE JAISI CHIZE KHANE KI”

Apko vastav me chahiye :- Magnesium
Apko khana chahiye:-  Sukha mewa, giridar seeds wale Grains, sabut corn se bani chize, green vegetables, or yellow fruits.

AGAR APKI ICCHA HOTI HAI KUCH OILY KAHNE KI

Apko vastav me chahiye :- CALCIUM
Apko khana chahiye:- Milk or us se bani chize, giri or beej wale meve, green vegitable, fish, eggs, or seasonal fruits


AGAR ICCHA OR KUCH MITHA YA MITHE JAISA KHANE KI
APKO VASTAV ME CHAHIYE:- Apko 5 micro nutrition element ki jarurat hoti hai. Chromium, Carbon, Phosphorus, Sulpher, or Tryptophan amino acid.
Apko khana chahiye:- Chromiun ke liye green vegitable, khas taur par gobi prajati ki sabji, Apple, Banana, spinach, grapes, or chicken.

Carbon ke liye:- Fresh seasonal fruits, grains, natural sugar.
PHOSPHORAS KE LIYE :- milk, curd, sukha meva, saabut grains se bani chize, green vegetable, fish or non veg.
 Sulphur ke liye:- Ber(plum) prajati ke fruits, cauliflower or knolkhol(phool gobi), eggs.
TRIPTOFEN AMINO ACID KE LIYE:- Cheese, cauliflower, milk items, banana, eggs, til-sesame, groundnuts, draksh, spinach etc.

ICCHA HO TANDURI ROTI, BREAD, CORN FLOUR, SE BANI CHIZE KHANE KI :- APKO VASTAVME CHAHIYE :-NITROGEN
APKO KHANA CHAHIYE:- PROTIN YOUKT FOOD, SOYABEEN, MILK AND MILK MADE ITEMS, MEAT & FISH

ICCHA HO KUCH NAMKIN KHANE KI:- APKO CHAHIYE :- SODIUM OR SILICON.
APKO KHANA CHAHIYE:- SUKHE MEVE, GIRIDAAR BEEJ WALE GRAINS, SAABUT CEREALS SE BANI CHIZE, FIBER WALI GREEN VEGITABLE OR GREEN, YELLOW FRUITS.

Comments